|
Bismillah Arrehman Alrahim
(1) Baghair Kulli Wazu Karna Durust Hai Sawal: Kisi ko kulli kartay waqt mun say khun nikalta hai aur thori dair bad band hota hai tab is ka wazu khatam hojata hai chunkay kulli karnay say wazu tutnay ka andesha hai is liye agar woh kulli na karay namaz parh lay to durust ha ya nahin? Aljawab: Issi halat mein kulli na karna durust hai baghair kulli kiye namaz sahih hai. (Mufti Aziz Ur Rehman)
(2) Miswak Ki Miqdar Sawal: Miswak Ki Miqdar Kiya Hai? Aljawab: Dar mukhtar mein hai kay miswak ki miqdar aik balisht hona mutahsib hai. lakin zahir bat yeh hai kay dar asal is ki koee had muqarar nahin hai. jis qadar bhi kar amad hosakay kafi hai. albatta shurooh mein aik balisht ka rakhna ulema nay pasand farmaya hai. (Mufti Aziz Ur Rehman) Dalail say maloom hota hai kay balisht sy kam ho to ho magar balisht say ziyadah lambi hona acha nahin hai. (Mufti Zafir Uddin)
(3) Wazu Kay Bad Rumal Say Hath Mun Ponchna Sawal: Wazu karkay rumal say badan sukhana durust hai ya nahin? Aljawab: Wazu kay aza ko rumal sy ponchna mustehsab aura dab mein say hai. dar mukhtar mein isay adab mein shumar kiya hai. shami nay bhi is ki bohot tafsil likhi hai. khulasa yeh hai kay rumal say ponchna makruh nahin hai balkay jaiz hai. (Mufti Aziz Ur Rehman)
(4) Aik Hath Say Wazu Karna Khilaf Sunnat Hai Sawal: Aik hath sy wazu karna durust hai ya nahin aur gardan ka masah karna kaisa hai? Aljawab: Aik hath say wazu karna durust hai magar khilafate sunnat hai. bila zarurat aisa nahin karna chahiye. Gardan masah ungliyon ki pusht ko khainch kar jaisa kay maroof hai durust hai. (Mufti Aziz Ur Rehman)
(5) Khoon Thook Par Ghalib Ho To Naqiz Wazi Hai Nahin Sawal: Danton say khun nikal aaey aur namaz mein hon to kiya karay? Aljawab: Aisi surat mein agar khoon thook par ghalib hojai yani ziyadah miqdar is ki ho to wazur tut jaiga aur is ka andazah zaiqa say hosakta hai kay khoon ka zaiqa thook mein mehsus honay lagay to is waqt khoon ki miqdar thook say ziyadah hogi. (Kamani Alhadliya Walshamya)
(6) Aurat Ki Chati Say Dudh Nikalna Naqiz Wazir Nahin Sawal: Aurat kay pistan say dudh ka nikalna ya behna wazu tota hai ya nahin? Aljawab: Naqiz wazu nahin dar mukhtar mein hai kay wazu insani badan sy najis cheez kay nikalnay say tutta hai laihaza jo cheez najis nahin is ka nikalna naqiz wazi nahin. (Mufti Aziz Ur Rehman)
(7) Ghutna Ya Ssatar Khulnay Ya Isay Hath Laganay Say Wazu Nahin Tutta Sawal: Mashoor hai kay ghutna khulnay say wazu tut jata hai. kis kis satar kay khulnay say wazu tutta hai? naizr kiya satar ko daikhnay ya chunay say wazu tut jata hai. baz log kehtay hain kay barhana ghusal karna say ya khuli jagha nahanay say wazu nahin rehta. Aljawab: Yeh ghalat mashoor hai kisi satar khulnay say wazu nahin tutta. Aur na hi isay daikhnay ya chunay say wazu tutta hai aur na hi barhana nahanay say wazu tutta hai. (Mufti Aziz Ur Rehman)
(8) Jo Ratubat Bahar Na Aaey Woh Naqiz Wazu Nahin Sawal: Bawasir ki phunsi mawad nikalnay kay bad dad ki terha hojai aur is kay ander ratubat ho magar behnay wali nahin ho albatta uthtay baithtay kapray ko lagti ho ti is surat mein wazu tut jata hai ya nahin? Aur kapra napak hota hai ya nahin? Aljawab: Jo ratubat zakham say bahir na bahay aur bahnay wali na ho to is say wazu nahin tutta. Kazani kutub alfiqa aur kapra bhi napak nahin hota kiyunkay fiqha nay qaida kuliya likha hai kay jo cheez hadas ka bais nahin woh najis bhi nahin. Laihaza jo surat aap nay tehrir farmaee hai is mein na wazu tutta hai na kapra napak hota hai faqat (Mufti Aziz Ur Rehman)
(9) Aankh Say Nikalnay Walay Pani Ka Hukam Sawal: Bahishti zever hissa awwal nowaqiz wazi kay zail min likha hai kay agar aankhain aaee hon aur khatakti hon to pani behnay aur nasu nikalnay say wazu tut jata hai aur agar aankhain na aaee hon is mein kuch khatak ho to ansu nikalnay say wazu nahin tutta. Agay chal kar bator qaida kuliya darj hai kay jis cheez kay nikalnay say wazur tut jata hai woh najis hai. aisi surat mein jab bachon ki aankhain dukhti hain aur in ki aankhon ka pani aksar maan waghaiah kay kapray ko tar kardaita hai kiya is kapray say baghair dhuay namaz jaiz hai ya nahin? Aljawab: Iss maslay mein ail qol yeh hai jo bahishti zaver mein manqulah hai aur qaida mazkurah bhi sahih hai. aur dusra qol yeh hai kay ankhain dukhnay walay ki aankh say jo pani niklay woh naqize wazu nahin hai. is surat mein woh najis bhi na hoga. Shami meim maniya lay hawalay say imam mohd say peep kay khof say har waqt namaz kay liye wazu karnay ka qol manqul hai. fatah alqadir mein is qol ko istehbab par mamul kiya hai. shamsi laihaza is bina par woh pani jo dukhti aankh say niklay, jab tak mutaghair na ho maslan is mein surkhi waghairah na ho balkay saf pani ho to woh naqiz wazu na hoga aur nahi najis hoga. (Mufti Aziz Ur Rehman)
(10) Dard Ki Wajah Say Aankh Sy Pani Ana Naqiz Wazu Hai Sawal: Ankhon say jo pani dard kay sath baramad ho woh naqiz wazu hai ya nahin? Aljawab: Dar mukhtar mein hai kay dard kay sath aankhon say pani nikalna naqiz wazu hai. (Mufti Aziz Ur Rehman)
(11) Ghusal Say Pehlay Wazu Karnay Ki Tafsil Sawal: Aap nay ghulam aur wazi kay mutaliq tehrir farmaya hai kay ghusal karnay say wazu hojata hai is liye ghusal kay bad wazi karnay ki zarurat nahin nama parhi ja sakti hai balkay jab tak is ghusal say kam az kam do rakat na parh li jain dobarah wazu karna gunah hai. tasalli o tashafi kay liye aur deegar mujh jaisay qarain ki blai ki khatir zara tafsilan is maslay ki wazahat farmain jaisa kay aap kay ilm mein hai kay wazi mein aik martaba chothaee sirka masah karna farz hai ab agar aik shakhs par ghusal karna farz haitab to wo wazu bhi karay ga laikin aik shakhs paki ki halat mein ghusal karta hai to zahir hai woh wazu nahin karay ga phir chothai sirka masah chay mani darad? Aur woh kis terha sirf ghusal say namaz parh sakta hai aik hadis pashay khdmat hai. Hazrat Aisha Razi Allah Anha say riwayat hai kay “Aan Hazrat Mohammad Mustafa ghusal kay bad wazu nahin kartay thay aur ghusal say pehlay jo wazu kartay thay isi par iktefa farmatay thay” Mandarja bala hadis say yeh bhi sabizt huwa kay Hazoor-e-Aikram mohammad Mustafa ghusal say paylay kay wazi par iktefa farmatay thay yani wazu zaroor farmatay thay laihaza mandarja bala hadis ki roshti mein tehrir farmain kay baghair wazi kay ghusal say namaz parhi jasakti hai ya nahin jabkay sirka masah wazu mein farz hai? Aljawab: Wazu nam hai tin aza mun hath aur paon kay dhonay aur sar kay masah karnay ka aur jab admi nay ghusal karliya to is zaman mein wazu bhi hogaya ghusal sayu pehlay wazu karlaina sunnat hai jaisa kay aap nay hadis sharif naqal ki hai. Laikin agar kiisi nay ghusal say pehlay wazi nahin kiya tab bhi ghusal hojaiga aur ghusal kay zaman mein wazu bhi hojaiga. Masah kay mani tar hath sar par phairnay kay hain jab sar par pani dal kar mal liya to masah say barh kar ghusal hogaya. Bahar hal awam ka yeh tarze amal kay woh ghusal kay bad phir wazu kartay hain bilkul ghalat hai wazu ghusal say pehlay karna chahiya takay ghusal ki sunnat ada hojai ghusal kay bad wazi karnay ka koee jawaz nahin. (Mufti Yusuf Ludhiyanvi Shaheed)
(12) Nahanay Kay Bad Wazu Ghair Zaruri Hai Sawal: Nahanay kay bad baz logon say suna hai kay wazu karnay ki zarurat nahin rehti quran o hadis ki roshni mein jawab dain kay aya nahanay kay bad wazi kay na karnay ka tariqa durust hai ya nahin? Aljawab: Nahanay say wazu bhi hojata hai bad mein wazu ki zarurat nahin. (Mufti Mohd Yusuf Ludhiyanvi Shaheed)
(13) Wazi Mein Niyat Shart Nahin Sawal: Wazi karnay kay liye niyat karna zaruri hai ham nay kitab mein parha hai kay mun hath dhonay mein wohi kam kiya jata hai jo wazu karnay mein kartay hain agar wazu ki niyat nahin ki gaee to wazu nahin hoga balkay sirf mun hath dhona huwa. Is kay alawah wazu mein jo faraiz hain wohi agar choot gaey to phir wazi kaisay huwa? Aljawab: Niyat karna wazu mein farz nahin. Agar mun hath paon dholiye jain aur sar ka masah karliya jai kay yehi char cheezain wazu mein farz hain to wazu hojata hai albatta wazu ka sawab tab milay ga jab wazu ki niyat bhi ki ho. (Mufti Yusuf Ludhiyanvi Shaheed)
(14) Baghair Wazu Kiye Mahaz Niyat Say Wazu Nahin Hota Sawal: Aksar maqamat par aur masajid mein pani ka intezam nahin hota aur phir wazu kay liye kafi taklif hojati hai ham nay suna hai kay agar kahin pani dastiyan na ho to wazu ki niyat karnay say wazu hotaja hai. kiya aisa hosakta hai agar wazu hosakta hai to is ki niyat bhi aisay hi karni hoti jaisay ham pani kay sath wazu kartay waqt kartay hain. Aljawab: Mahaz wazu ki niyat karnay say wazu nahin hota aap nay ghalat suna hai. shariyat ka hukam yeh hai kay agar kisi jagha wazu kay liye pani dastiyan na ho to pak matti say taimum kiya jai aur pani dastiyab na honay ka matlab yeh hai ka pani kam say kam aik meel door ho. Iss liye shahar mein pani kay dastiyab nahonay ki koee wajah nahin. Jungle mein aisi surat paish asakti hai. (Mufti Husuf Ludhiyanvi Shaheed)
(15) Abe Zamzam Say Wazu Aur Ghusal Karna Sawal: Molana sahib mein makka mukarrama mein rehta hoon kaee dinon say is maslay par din mein uljhan rehti hai barai maharbani is ka sharaee hal batain aap ka shukar guzar rahoon ga. Molana sahib ham pakistan mein thay to aabe zam zam kay liye itni mohabbat thi kay kuch bata nahin saktay ab bhi wohi hai aik qatray kay liye tarastay thai. Yehan log wazu kartay hain. Kiya yeh jaiz hai ya nahin . namaz kay liye wazu karna jaiz hai ya adab kay khilaf hai. tafsil say jawab likhain. Aljawab: Jo shakhs ba wazu aur pak ho woh agar mahaz barkat kay liye aabe zamzam say bhigona bhi durust hai. Laikin bay wazu admi ka zam zam sharif say wazu karna ya kisi ajnabi ka is say ghusal karna makruh hai. Zarurat kay waqt jabkay dusra pani na milay zam zam sharif say wazu karna to jaiz hai magar ghusal karna janabat bahar hal makruh hai. Isi terha agar badan ya kapra par nijasat lagi ho is ko zamzam sharif say dhona bhi makruh balkay baz jagha haram hai. Yahi hukam zamzam say intenja karnay ka hai. Naqal kiya gya hai kayy baz logon nay aabe zamzam say istenja kiya to in ko bawasir hogaee. Khulasa yeh kay zazam nihayat mutabarik pani hai is ka adab zaruri hai. Is ka pina mojib khair o barkat hai aur chahray par,sar par aur badan par dalna bhi mojib barkat hai. Laikin nijasat zail karnay kay liye is ko istemal karna narwa hai. (mufti yusuf ludhiyanvi shaheed)
(16) Pahlay Wazu Say Namaz Parhay Baghair Dobarah Wazu Karna Gunah Hai Sawal: Agar kisi ko ghusal ki hajat nahin hai yani woh pak hai woh sirf nahati hai zahir ya nahanay mein is ka jisam sar say lay kar pair tak bhigay ga is surat mein woh orat baghair wazu kay namaz parh sakti hai ya nahin yad rahay kay woh orat sirf nahaee hai. is nay na nnahanay say pehlay na nahanay kay bad wazu kiya balkay sar say pair tak pani bahaya hai. Aljawab: Ghusal karnay say wazu hojata hai is liya ghusal kay baz wazu karnay ki zarurat nahin namaz parh sakti hai balkay jab tak is ghusal say kam say kam do rakat ya koee dusri ibadat jis mein wazu shart hai ada na karli jai dobarah wazu karna makruh hai. (Mufti Yusuf Ludhiyanvi Shaheed)
(17) Jis Ghusal Khana Mein Peshab Kiya Ho Is Mein Wazu Sawal: Hamaray ghar mein aik ghusal khana hai jahan ham sab nahatay hain aur rat ko uth kar paishab bhi kartay hain aur mujhay namaz parhni hoti hai kiya is ghusal khana mein wazu karna jaiz hai? Aljawab: Ghusal khanay mein peshab nahin karna chahiye is say waswasa ka marz hojata h ai aur agar is mein kisi nay peshab kardiya ho to wazu say pehlay is ko dhokar pak karlaina chahiye. (Mufti Yusuf Ludhiyanvi Shaheed)
(18) Miswak Karna Khawatin Kay Liye Bhi Sunnat Hai Sawal: Kiya namaz say paylay wazu mein miswak karna Orton kay liye bhi isi terha sunnat hai jaisay mardon kay liye? Aljawab: Miswak khowatin kay liye bhi sunnat hai laikin agr in kay masurhay miswak kay mutahamil nah on to in kay liye dandasa ka istemal bhi miswak kay qaim muqam hai jabkay miswak ki niyat say is ka istemal karain. (Mufti Yusuf Ludhiyanvi Shaheed)
(19) Raat Ko Sotay Waqt Wazu Karna Afzal Hai Sawal: Kiya rat ko sotay waqt wazu karna afzal hai? Aljawab: Ji han afzal hai. (Mufti Yusuf Ludhiyanvi Shaheed)
(20) Dant Say Khoon Nikalnay Par Kab Wazu Tutay Ga? Sawal: Kulli kartay waqt mun mein khun nikal jata hai khun halaq mein nahin jata bas dant mein say nikal jata hai aur mein foran thook daita hoon to aap say yeh maloom karna hay kay mun mein khoon anay ki wajah say wazu tut jata hai ya nahin. Kiya dobarah wazur karna chahiye? Aljawab: Khun nikalnay say wazur tut jata hai basharta kay itna khun nikla ho kay thook kar rang surkhi mail hojai yam un mein khun ka zaiqa anay lagay. (Mufti Yusuf Ludhiyanvi Shaheed)
(21) Wazu Kartay Waqt Orat Ka Sar Ka Nanga Rehna Sawal: Kiya wazu kartay waqt orat ka sar par dupatta orhna zaruri hai? Aljawab: Orat ko hatul waseh sar nanga nahin karna chahiye magar wazu hojaiga. (Mufti Yusuf Ludhiyanvi Shaheed)
(22) Wazu Kay Darmiyan Salam Ka Jawab Daina Sawal: Wazi kartay huway aur khanay kay doran salam ka jawab daina zaruri hai ya nahin jabka salam karnay walay ko masla maloom na ho to wazu mein masruf honay ki wajah say narazi aur ghalat fahmi hosakti hai. AlJawab: Wazu kay doran salam aur jawab mein koee haraj nahin,khanay kay doran salam nahin kehna hahiye aur khanay walay kay zimmay salam ka jawab daina wajib nahin. (Mufti Yusuf Ludhiyanvi Shaheed)
|