10. Aurton Ka Tanha Safar KarnaSawal: Aurat kay tanha safar kay baray mein shariyat ka kiya hukam hai? Aljawab: Aurat kay baghair mahram kay safar karna jaiz nahin. Hadis mein is ki mumaniyat aaee hai. chunanchay sahah sata, mota imam malik, masnad ahmed aur hadis kay tamam matad awal majmon mein mutadid sahaba karam rizwanaullah alaihim ajmaeen ki riwayat say anhazrat mohd Mustafa ka yeh irshad maqqul hai kay kisi Aurat kay liye jo allah tala par aur akhrat par iman rakhti ho halal nahin kay baghair mahram kay tin din ka sar karay jis say maloom hota hai kay baghair mahram kay safar na karna Aurat ki niswaniyat ka imani taqaza hai. jo Aurat is taqazai imani ki khilaf wazir karti hai woh fal haram ki murtakin hai. kiyun kay is fal ko anhazrat mohd Mustafa la yahal far fama rahay hain. 11. Aurton Ka Judge BannaSawal: Islami shariat mein aurat ka judge banana jaiz hai ya nahi? Aljawab: Aisay tamam manasib jin mein hark as o nakas kay sath ikhtelat aur mail jol ki zarurat pesh ati hai shariyat islami nay in ki zemmedari mardon par aid ki hai aur Orton ko is say subukdosh rakha hai inhi zimmedariyon mein say aik judge aur qazi bannay ki zimmedari hai. Aan Hazrat Mohammad Mustafa aur Hazrat Khulfa Rashedin Rizwan Allah Alaihim kay zamanay mein bari fazil khowatin mojud theen magar kabhi kisi khatoon ko judge aur qazi bannay ki zehmat nahin di gaee. Chunan chay is par aima arba ka ittefrraq hai kayo rat ko qzi aur judge banana jaiz nahin. Aima salasa kay nazdik to kisi mamlay mein is ka faisla nafiz hi nahin hoga. Imam abu hanifa kay nazdik hadud o qasas kay ma siwa mein is kai faisla nafiz hojaiga. Is ko qazi banan gunah hai. fiqa hanafi ki mashoor kitat dar mukhtar mein hai. Tarjumah:“Aur Aurat had o qasas kay ma siwa mein faisla kar sakti hai. agar chay is ko faisla kay liye muqarar karnay wala gunar gar hoga kiyunkay sahih bukhari ki hadis hai kay woh qom kabhi falah nahin paigi jis nay apna mamla Aurat kay supurd kardiya.” 12. Aurat Ko Sabarah Mumlikat BananaSawal: Kiya Aurat sabarah mumlikat ya intezami sarbarah ban sakti hai? Aljawab: Islami mashray mein Aurat ko sarbarah mumlikat bananay ka koee tasawur nahin. Hadis mein hai kay aan hazrat mohd Mustafa ko ittela mili kay ahle faris nay kara ki beti ko badshah bana liya hai to aap Hazarat Mohammad Mustafa nay farmaya. “Woh qom kabhi falah yab nahin hogi jis nay apna mamla Aurat kay supurad kardiya.
Aik aur hadis hai.” Jab tumharay hukam tom mein sab say achay log hon tumharay maldar sab say sakhi aur kushadah dast hon aur tumharay mamlat apas kay mashwaray say tay hon to tumharay liye zamin ki pusht is kay pait say behtar hai aur jab tumharay hukam buray log hon tumharay maldar bakhil hona ur tumharay mamlat Aurton kay supurd hon to tumharay liye zamin ka pait is ki pusht say behatar hai (Yani aisi surat mein jinay say marna acha hai) chunacnay ummat ka is par ittefaq o ajmah hai kayo rat ko sarbarah mumlikat bnana jaiz nahin. Shah wali ullah mahdis delvi azala alkhafa mein sharait khilafat par behass kartay huway likhtay hain. TarjumahAur aik shart yeh hai kay sarbarah mumlikat mard ho Aurat na ho kiyunkay sahih bukhari mein aan hazrat mohd Mustafa ka irshad hai ma aflah qom walwa amar ham amrah jab aan hazarat mohd Mustafa ko yeh ittelah pohonchi kay ahlay faris nay kasra ki beti ko badshah banaliya hai to farmaya kay woh qom kabhi falah nahin paigi jis nay apni badshahi ka mamla Aurat kay supurd kardiya naiz is liye kayo raat fitratan naris ul aqal waldain hai jang o paikar mein bekar hai aur mehfilon aur mujlison mein hazir honay kay qabil nahin hain is say maqasid matluba puray nahin hosaktay.
|