|
Sab Qarenay usi dildar kay rakh dety hain, ham ghazal main bhi hunar yaar k rakh dety hain,
Shayad aa jayen kabhi chashm e kharidar main ham, jan o dil baich k bazar main rakh dety hain,
Zikr e janaan main yeh duniya ko kahan le aye, log kiun mas’alay baykaar kay rakh dety hain,
Zindagi teri amanat ha magar kya keejay, Log yeh bojh bhi thak har k rakh dety hain,
Ham to chahat main bhi Ghalib k Mukallid hain faraz, Jis pe marty hain usay maar kay rakh dety hain,
|